Wednesday 4 December 2013

Maine Hindustan chor kar bhi kaha chora...

Maine Hindustan chor kar bhi kaha chora,
Wo naata un hawao, fizao se kaha toda?
Jitni door tak, jaha bhi phaila hai aasmaan,
Sarhado ke paar bhi, Hindustan hi Hindustan...

Romantic Paris me Eiffel Tower ke neeche,
Punjabi Munday naqli Eiffel toer bechey!



London me Victoria Station ke har su,
Bas garma garam samoso ki khushbu!


Switzerland ki to har oonchi neechi pahadi pe,
Sridevi ki saree ka aanchal basey!


Mujhe yaad hai Italy me, Venice ki wo barsaat,
khud bheegta, chhatey bechta, bechara bangali zaat!


Birmmingham ki taxi, raaste suhaane,
uspe Sharukh- Kajol ke gaane!


Socha kuch to ajooba hoga Germany,
Munich me bhi Anarkali, disco chali...


Vo chooriyan, dupatte, kulfi samose or Sharukh Salman,
Aakhir kab door hua mujhse Hindustan???


No comments:

Post a Comment